Jalgaon Sahab
Me Bramha Swarup Sant Baba Gelaramji Ki Murti Ki Pranpratistha Aur Guru Purnima Ka Utsav Sampann.
Jalgaon Sahab date.06 july 2009 somwar yeh din jalgaon
vasiyon aur sabhi Baba bhakton ke liye kisi dipawali se kam nahin tha.Sham 4 baje Bramha
Swarup Sant Baba Gelaram Sahabji ki murti ke pranpratistha ke uplakshya me havan aur shobha
yatra ka aayojan kiya gaya jisme pujya Baba ki murti ko rath par virajmaan kar
shobha yatra nikali gayi.Raat 08.30 baje havan pashchat murti ki pranpratistha Devri Sahab me Sant Baba Hardasram Sahab(Godhdiwale)
ki murti ke samip Sai Manoharlal ke shubhhate ki gayi.
07 July,2009 Mangalwar vaise to Baba bhakto ka khas din hota hai
par is Mangalwar ka kuch khas mahatva tha. 1.Baba Ka Din 02.Guru Purnima.
Pratah kaal
5 baje Pujya Devri Sahab me panchamrut snan shuru hua vishes yeh tha ki is bar Sant Baba Hardasram Sahab Aur Baba Gelaram
Sahab ko ek sath panchamrut snan karvakar bhaktgan dhanya ho gaye. Subah 7 baje akhand RAM dhuni ka karyakam shuru hua.11
baje Akhand sukhmani sahab ke bhogsahab ka program shuru hua.
Akhand Sukhmani
Sahab ki vishesta yeh hai ki Guru Purnima se 51 din pehle shuruwat hoti hai.Iske sath ek Akhand Jyot bhi jagai jati hai,jise
ek mahayagya se kam nahi samjha jaa sakta.
Sham 4 se 6 baje tak satsang ka karyakam sampan hua.Raat 08.30 baje Niymit Aarti Sahab aur
bhajano ka aarambh hua.10 baje Samuhic Madah Sahab shuru hui.Aakhir me Prasad vitran kar Guru Purnima Utsav ki samaapati hui.